Advertisement

List Of Government Jobs After 10th With Good Salary

List Of Government Jobs After 10th With Good Salary

   Kuch log aese bhi hote hainjo kisi kaaran se apni higher studies complete nahi kar pate. Unki financial condition sahi nahi hoti hai ya fir koi aur wajah hoti hai. Unka ek hi sawaal hota hai ki What are best jobs after 10th class ya fir 10th ke baad kon si jobs hain. To iss post mein aapko kuch aesi jobs ki list milegi jo aap 10th pass karne ke baad bhi kar sakte hain.

list-of-government-jobs-after-10th-with-good-salary

JOBS FOR 10TH PASSED STUDENTS IN DEFENCE

Sabse pehle baat kar lete hain defence sector me job ki jaise ki navy, army etc. 

1. NAVY JOBS AFTER 10TH CLASS

 Navy mein bhi 10th pass students ko job milti hai. Navy mein 10th pass students ki bharti Matric Recruit ke jariye hoti hai. Matric Recruit mein bhi 3 posts hain.

  A. CHEF

   Matric Recruit me pehli job hai chef ki. Aapko ye to pata hi hoga ki chef ko kya kaam karna padta hai. Chef banne ke baad aapko menu ke hisaab se vegeterian aur non vegeterian dono tarah ka khana banana hota hai. Khana banane ke saath saath aapko ration aur accounting yaani kharche ka bhi hisaab rakhna hota hai. Iske saath saath aapko kuch aur kaam bhi diye jaa sakte hain.

  B. STEWARD

  Steward ka kaam hota hai navy officers ke liye khana parosna. Khana parosne ke saath saath menu ki taiyaari, Wines aur stores ki dekhbhaal karna bhi steward ka kaam hi hai. Stewards ko bhi kuch aur kaam diya jaa sakte hain.

  C. SANITARY HYGEINIST

    Sanitary Hygeniest ka kaam hota hai saaf safai karne kaa. Sanitary Hygeniest ko Washroom ke saath saath baaki areas ko bhi saaf karna hota hai. Agar jarurat padti hai toh koi dusra kaam bhi karwaya jaa sakta hai.

Note: Chefs, Stewards aur Sanitary Hygeniest teeno ko fire arms ki training bhi dee jaati hai aur ye apni aage ki education bhi kar sakte hain. Aur 15 saal tak job karne ke baad retirement ke time Graduation Equivalent Certificate bhi diya jaata hai.


2. JOBS FOR 10TH PASSED STUDENTS IN ARMY

Indian army me 10th pass students ke liye sipahi ki job hoti hai. General soldier aur soldier tradesman in posts ke liye 10th pass students apply kar sakte hain. Agar aapka selection ho jaata hai aur aapko job mil jaati hai to aap uske baad 12th bhi kar sakte hain aur aese hi aage ki education bhi. Jitna aap badi degree haasil karte rahenge utni hi aapki post unchi  hoti rahegi.
list-of-government-jobs-after-10th-with-good-salary
credit: Indian Army Website

JOBS FOR 10TH PASSED STUDENTS IN POSTOFFICE

10th pass students ke liye post office me bhi jobs ka option hai. 10th pass students ke liye Postman aur Staff car driver jaisi posts available hain. Agar aap chahe to postman ke liye apply kar sakte hain. Iske saath saath Gramin Dak Sevak ki job ke liye bhi aap apply kar sakte hain. Inke liye samay samay par vacancy nikalti rehti hain to aap iske liye check karte rahen.

SSC 10TH CLASS JOBS

SSC yaani ki Staff Selection Board bhi time time par vacancies nikalta rehta hai. SSC dwara ITBP, BSF, CRPF, SSB, CISF, Assam Rifles aur CISF jaise departments me bhi bhartiyan hoti hain.

1. MTS

MTS matlab Multi Tasking Staff bhi 10th pass logon ke liye acchhi job hai. Jaise iska naam Multi Tasking Staff Hai to isme kaam bhi aapko ek se jyada karne hote hain. Peon, Dafatry, Jamadar, Farash, Chowkidar, Safaiwala, Mali, Junior Gestetner Operator etc ye posts aapko SSC MTS se milti hain. MTS group c ki job hai. MTS ki salary hoti hai Rs. 5200 - Rs. 20200 .

2. ITBP

ITBP matlab Indo Tibetan Border Police Force me bhi aapko 10th ke baad job milti hai. 10th pass logon ke liye ITBP mein Constable aur Lineman ki job hai aur agar 10th me aapke paas science subject tha to aapke liye Head Constable ki job bhi hai. Aur agar aapne 10th ke saath koi diploma bhi kiya hua hai to uske hisaab se bhi kayi jobs available hain. Isme aapka promotion bhi hota rehta hai.


Iske alaawa SSC se LDC matla Lower Division Clerks, Cooks aur Safai Karmachari ki bhi bharti hoti hain.

Agar aapka koi bhi sawaal hai toh comments me likhen.

Post a Comment

0 Comments