Advertisement

12th PCM Ke Baad Kya Kare in Hindi Career Options After 12th Science PCM

List Of Courses After 12th Science PCM

 

 Agar aap ne 12th PCM se pass kiya hai to aapko ek baar ye jarur jaan lena chahiye ki kon kon se courses hain jo aap 12th PCM ke baad kar sakte hain. Jab aapko sabhi courses ke baare me pata hoga to aap apne interest ke hisaab se course choose kar sakte hain. Iss post me aapko aese hi kuch courses ki  list milegi jo aap 12th PCM ke baad kar sakte hain.


best-courses-after-12th-science-with-pcm


1. B.Tech (Bachelor of Technology)


B.Tech engineering course hai aur jyadatar PCM wale students issi course ke peeche bhagte hain. B.Tech 4 saal ka course hai. B.Tech me alag alag branches hoti hain jaise ki Mechanical, Electrical, Computer Science etc. B.Tech me admission ke liye aapko Entrance Test Clear Karna Hota Hai. IIT-JEE, UPSEE, BITSAT, VITJEE etc B.Tech ke hi entrance exams hain. Par kayi colleges me aap bina kisi entrance exam diye management quota se admission le sakte hain.


2. B.Arch (Bachelor of Architecture)


B.Arch 5 saal ka course hai. B.Arch me aapko makaan, road, bridges, malls etc banana sikhaya jaata hai. B.Arch me  admission ke liye aapko 12th me Maths hona jaruri hai. Aajkal har jagah aapko kuch na kuch banat hua mil jayega. Roj nayi nayi buildings banti rahti hain. Architecture ko job bhi bahut assani se mil jaati hai aur wo bhi acchhi salary par.

 

3. Merchant Navy

 

Merchant Navy Navy se alag hai. Marchant Navy me passenger ships, Petroleum ships aur kayi maal dhone wali ships ke sanchalan ka kaam karna hota hai. Merchant Navy me 10th se lekar B.Tech wale log jaa sakte hain.

 

Career Options After 12th Science PCM Other Than Engineering


Upar wale teen courses to engineering se jude huye the ab baat kar lete hain un courses ki jo engineering se alg hain.


4. Commercial Pilot Training


Commercial Pilot Training ke naam se hi aap jaan gaye honge ki ye course un ke liye hai jo pilot banna chahte hain. Iss course me aapko Pilot banne ke liye sabhi training di jaati hain. Commercial Pilot Training ek Mehnga Course hai aur iski duration 18 se 24 mahine hai.


5. B.Sc (Bachelor of Science)


Bachelor of Science ek traditional course hai. B.Sc ki duration 3 saal hai. B.Sc ki fees bhi jyada nahi hoti aur ye ek asaan course bhi hai. B.Sc me bhi aapko kayi sareoptions milte hain jaise ki B.Sc in Physics, B.Sc in Chemistry, B.sc in Maths, B.Sc in Computer Science, B.Sc in PCM jaise aur bhi kayi courses hain. B.Sc ke saath saath aap apni competition ki taiyaari bhi asaani se kar sakte hain.


6. NDA (National Defence Academy)

 

NDA yaani National me training dwara Army, Airforce aur Navy me bharti hoti hai. NDA ke liye ek exam hota hai jo ki saal me do baar hota hai. Exam clear karne wale students ka interview hota hai. Aur jo student exam aur interview dono pass karte hain unhi ka NDA me selection hota hai. NDA me select hone ke baad bhi aapko B.Tech ka course hi karaya jaata hai par usme syllabus alag hota hai aur bakayda aapko B.Tech ki degree bhi milti hai. B.Tech ke saath saath aapki training bhi karayi jaati hai.


7. BBA (Bachelor of Business Administrator)

BBA matlab Bachelor of Business Administrator un logon ke liye hai jinka business management mein interest hai ya fir saral bhasa me jo manager banna chahte hain. BBA bhi 3 saal ka course hai. Is course ko wo koi bhi kar sakta hai jisne 12th pass ki ho kam se kam 45% marks ke saath. Sabhi stream ke students BBA kar sakte hain. BBA karne ke baad aap higher education ke liye MBA bhi kar sakte hain.


8. BCom (Bachelor of Commerce)


Maths wale students BCom bhi kar sakte hain. BCom commerce ka course hai par wo sabhi students jinhone 12th me maths liya ho wo BCom kar sakte hain. BCom karne ke baad Banking, Finance ke field aapke liye darwaze khul jaate hain. 



9. BA (Bachelor of Arts)


BA jo ki arts ka course hai use bhi aap kar sakte hain. Science wale aur Commerce wale students bhi BA kar sakte hain. BA karne ke baad aapke liye Civil Services jaisi government jobs ke liye acchhi khaasi taiyaari ho jaati hai. BA ek bahut hi asaan sa course hai isiliye aap BA ke saath saath cometition exams ki taiyaari ke liye bhi pura time de paayenge.


Some Other Courses After 12th PCM

 

1. B.P.E ( Bachelor of Physical Education)
2. Hotel Management
3. Mass Communication 
4. BFA (Bachelor of Performing Arts)
5. Film And Telivision Courses
6. Law 
7. Diploma Courses (ITI, Polytechnic etc.)
8. Designing Courses


Post a Comment

1 Comments

  1. Science has been one of the most popular streams of study amongst students. It's the stream leading up to popular courses including Engineering, Medicine and allied disciplines. Science students can also choose to take up further studies in pure sciences or applied sciences at graduation and post graduation levels. I am the student of B.Sc agriculture from Quantum university. if you wants to go for Pharma studies, Agriculture studies, Radiology, Nutrition & Dietetics or any other course according to your interest so the Quantum university is best among all the colleges. here you can opt major-minor program, passion program and other activities according to your interest. Here you can enhance your skills in better way.

    ReplyDelete