Advertisement

7 Best Career Options After 12th Commerce Stream (Hindi)

12th Commerce Ke Baad Kya Kare

 
Agar aapne 10th ke baad commerce stream lene ka man bana liya hai ya fir aapki 12th with commerce complete ho gayi hai to aapko ye bhi janna chahiye ki aap ke liye commerce se 12th karne ke baad kon kon se vikalp available hain. Iss post mein hum isi baat par charcha karenge.



1. BCom (Bachelor of Commerce)


Commerce wale jyadatar students BCom ki taaf jaate hain. Kyonki ye course hi hai - Bachelor of Commerce. Is course ke liye aapka commerce ke saath 12th pass hona jarurii hai. Ye course 3 saal ka hota hai. BCom koi jyada hard course nahi hai ye bhi ek wajah hai ki log iski taaraf jyada bhagte hain. 


2. BBA (Bachelor of Business Administrator)


BBA matlab Bachelor of Business Administrator un logon ke liye hai jinka business management mein interest hai ya fir saral bhasa me jo manager banna chahte hain. BBA bhi 3 saal ka course hai. Is course ko wo koi bhi kar sakta hai jisne 12th pass ki ho kam se kam 45% marks ke saath. Sabhi stream ke students BBA kar sakte hain.


3. CA (Chartered Accountant)


Ye BBA aur BCom se bilkul alag hai. Ye ek professional course hai aur bahut hi hard couse hai. Iss course ko pass karne ke baad aap CA ban jate hain . CA wo hote hain jo kisi company ya firm ko financial advice deta hain ya fir unke account sambhalte hain. Ek CA ko kaafi acchhi khasi salary milti hai.


4. CS (Company Secretary)


Company Secretary bhi CA ke jaisa hi hai. Fark bas itna hai ki CA company ko Financial Advice deta hai aur CS Legal Advice. CS bhi ek hard course hai. CS banne ke liye aapko Foundation Program, Executive Program aur Professional Program pass karna jaruri hai. Ye course ICSI karati hai.


5. CFP (Certified Financial Planner)


CFP ek certification course hai. Ye course FPSB (Financial Planning Standard Board) ke dwara karaya jaata hai.


6. BMS (Bachelor of Management Studies) 


BMS yaani Bachelor of Management Studies bhi management se juda course hai. Iss course main aapko Corporate world ke sabhi basics ki jaankari milti hai. BMS bhi 3 saal ka course hai. Isse karne ke baad aapke job ke chances kai jyada hain.


7. BCom (Foreign Trade Management)


BCom Foreign Trade Management Finance se juda ek course hai. Ye 3 saal ka course hai.  Ye course global market ko prabhavit kaarne wale factors ko samajhne me sahayta karta hai.

Post a Comment

0 Comments