Advertisement

12th PCB ke baad kya karen Top 10 Courses to do after 12th PCB




Agar aapne 12th me PCB liya hai ya aap PCB se 12th complete kar chuke hain aur janna chahte hain ki 12th ke baad aap kin courses me admission le sakte hain to aap ekdum sahi jagah par hain. Iss post me aap janenge ki 12th PCB ke baad kon kon se courses me aap admission le sakte hain.

1.MBBS (Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery)

MBBS India me sabse popular course hai kyunki yahan maa baap ka ek hi sapna hota hai ki unka baccha Doctor ya Engineer bane. Aur Doctor banne ke liye MBBS kare. Jyadatar students PCB se 12th karne ke baad MBBS me admission lete hain. Iss course ki duration 5 saal hai aur isme admission ke liye 12th me Biology subject compulsary hai aur iske saath hi entrance exam bhi qualify karna jaruri hai. Iss course ki Fees lagbhag 25000 per annum se lekar 25 lakh per annum tak hai.

2. BAMS

BAMS ki full form hai Bachelor of Ayurvedic Medicine and Surgery aur iski duration hai 5.5 years. Ye ek degree course hai jo modern medicine aur ayurveda ki study karta hai. Admission ke liye kam se kam 45% marks 12th me Biology main subject ke saath hone chahiye. NEET qualify karna bhi jaruri hai.

3. BHMS

BHMS  (Bachelor of Homeopathic Medicine and Surgery) 5.5 saal ka degree course hai jisme 4.5 saal study aur 1 saal ki internship hoti hai. Iss course me admission ke liye bhi entrance test pass karna padta hai. Course ki fees 20000 per annum se 3 lakh per annum hai .

4. BDS (Bachelor of Dental Science)

BDS bhi 5 saal ka course hai aur isme bhi 4 saal study aur 1 saal internship hai. Jo students dentist banna chahte hain unke liye course kaafi important hai. MBBS ke baad yahi  course bio students ka sabse favorite hai. Iss course me students Dental Histology, Oral pathology aur Oral surgery jaise subjects ki padhai karte hain. India me lagbhag 300 se jyada dental colleges hain jo BDS course karate hain. NEET qualify karna iske lie bhi jaruri hai. Iss course ki fees 1 lakh se 8 lakh hai aur internship ke dauran students ko 15,000 se 40,000 tak ka stipend milta hai.

5. BPT (Bachelor of Physiotherapy)

BPT 4 year ka undergraduate course hai aur isme physical movements ki study hoti hai. Kayi college entrance test ke adhaar par admission dete hain to kayi college direct admission bhi dete hain. Course ki fees 1 lakh se 5 lakh tak hai. Iss course ke baad aap Geriatrics, Pediatrics, Orthopaedics aur sports medicine me apna career bana sakte hain.

6. B.Sc in Nursing

Agar aap 12th ke baad nursing me apna career banana chahte hain to BSC in Nursing aapke liye accha option hai. Ye 4 saal ka undergraduate course hai. Nursing industry me career opportunities bahut hain. Iss course ko karne ke baad aap Nurse, Nursing Assistant, Nursing Educator, Nursing Manager jaisi job kar sakte hain. Iss course ki fees 20,000 se 1.5 lakh annualy hai.

7. B. Pharma

Bachelor of Pharmacy medicine aur drugs ki study karne wala 4 saal ka undergraduate course hai. Agar aap pharmacist banna chahte hain ya apna khud ka medical store kholna chahte hain to aap 12th ke baad B. Pharma ki soch sakte hain. Course ki fees 15000 p.a se 1 lakh p.a tak hai. Iss course ke baad aap Technical Pharmacy, Health Centres, Medical Dispensing stores, Food and Drug Administration etc me apna career bana sakte hain.

8. B.sc in Biotechnology

B.sc in Biotechnology bhi kaafi popular course hai. Ye 3 saal ka undergraduate course hai. Agar aapka interest biological sciences me hai to ye course aapke liye ekdum sahi hai. Course complete hone ke baad Drug and Pharmaceutical research, Food Processing, Animal Husbandy, Genetic, Waste management etc me career bana sakte hain.

9. BMLT 

Bachelor in Medical Laboratory Technology 3 saal ka undergraduate program hai. Iss course ki demand bohot jyada hai. Isscourse me human anotomy, human physiology, pathology, clinical hematology, immunology etc ki padhai karayi jaati hai.  Iss course me admission ke liye 12th me 50% marks hona jaruri hai. Course complete karne ke baad Lab technician, Research Scientist, Research Assistant, Lab Supervisor and Tutor etc me career banaya ja sakta hai.

10. Bachelors of Occupational Therapy 

Bachelors of Occupational Therapy rehabilation se related bachelor degree course hai. Iski fees 15,000 se 70,000 tak hai. Admission ke liye 12th me minimum 45% hone chahiye. Course complete hone ke baad opertion theatre technician, ot nurse, occupational therapist, ot in-charge, critical care nursing in-charge etc ban sakte hain.

Ye thi un 10 courses ki list jisme aap 12th ke baad admkission le sakte hain. Aap apne interest ke hisaab se kisi bhi course me admission le sakte hain. 
Thanks for visiting our site.

Post a Comment

1 Comments