Advertisement

12th Arts Ke Baad Kya Kare in Hindi Career Options After 12th Arts 2023

Best Career Options After 12th Arts (Hindi)

 

Agar aapne 12th me arts lene ka soch liya hai ya fir aapki 12th complete ho gayi hai arts stream se to aapko ye jarur janna chahiye ki kon kon se courses hain jo aap 12th ke baad kar sakte hain. Iss post me aapko aese hi courses milenge jinhe aap 12th arts ke baad kar sakte hain.


best-career-options-after-12th-arts




1. B.A. (Bachelor Of Arts)

 

B.A. ek traditional course hai. Iski duration 3 sall hai. Jyadatar students B.A. me hi admission karwate hain. Iska karan yah hai ki B.A. bahut hi easy course hai aur students iske saath saath competition exams ki practice ko bhi pura samay de paate hain. B.A. courses me seats ya college ki koi chinta karne wali baat nahi hai. B.A. jyadatar colleges me available hai aur iski seats bhi bahut jyada hoti hain. Iski cutoff bhi jyda high nahi jaati.


2. Journalism And Mass Communication

 

Journalism course ek job oriented course hai. Journalism se aapko media sector me job milti hai. Aur is samay media sector bahut teji se grow ho raha hai. Is samay media ka matlab sirf TV aur newspaper hi nahi rah gaya hai balki isme online yaani digital media bhi shamil ho gaya hai. In sab cheejo se is sector me job kaafi badhi hain. Jo students journalism ya fir social activism me dilchaspi rakhte hain unhe iss course ko karna chahiye.
Mass communication mein Degree, Diploma aur Certification 3 tarah ke course hote hain. Degree course 3 saal ke hote hain, Diploma aur certificate course 1 se 2 saal ke hote hain.


3. B.F.A. ( Bachelor Of Fine Arts)


Bachelor of Fine Arts bhi 3 saal ka degree course hai. Ye course creative students ke liye hai. B.F.A. me aapko Painting,Photography, Sculpting, Music, Dance, Theatre etc. subjects hote hain. India me kayi saare private aur government institute hain jo Bachelor of Fine Arts course ko karwate hain. Agar aapka interest Dance, Music jaise subjects me hai to aapko ye course jarur karna chahiye.

4. BBA (Bachelor of Business Administrator)


BBA matlab Bachelor of Business Administrator un logon ke liye hai jinka business management mein interest hai ya fir saral bhasa me jo manager banna chahte hain. BBA bhi 3 saal ka course hai. Is course ko wo koi bhi kar sakta hai jisne 12th pass ki ho kam se kam 45% marks ke saath. Sabhi stream ke students BBA kar sakte hain.



5. Hotel Management


Hotel management bhi ek job oriented course hai. Hotel management karne ke baad aapko job milna kaafi asaan hai. Hotel Management me Degree or Diploma courses hote hain. Degree course 3 saal ke hote hain aur diploma course 1 se 2 saal tak ke hote hain. Is course mein aapko hotel management ke gur sikhaye jaate hain.




Some Other Courses For Arts Students


1. Event Management
2. Law Courses ( LLB, B.A.LLB)
3. B.El.Ed (Teaching)(Bachelor in Elementary Education)
4. B.P.Ed (Bachelor of Physical Education)
5. D.El.Ed (Diploma on Elementary Education)
6. Retail Management

Post a Comment

0 Comments